ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
— Ibn E Insha
Dekh to goree kise pukaare
Bastee bastee dvaare dvaare
Bar men jholee haath men kaasa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
Dil men aag dabee hai Darnaa
Aankhon men ashkon kaa jharnaa
Lab par dard kaa baara-maasaa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
KaanTon se chhalnee hain paanv
Dhuup milee chehre par Chaaon
Aas milee aankhon men niraasaa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
Baat hamaaree maan ke goree
Sab dunya se choree choree
GhoonghaT kaa paT khol zaraa saa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
Soorat hai 'inshaa'-jee kee see
Baal pareshaan aankhen neechee
Naam bhee kuch 'inshaa'-jee kaa saa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
Soch nahin saajan ko bulaa le
Aage baDh siine se lagaa le
Tujh-bin de ise kaun dilaasaa
Ghuum raha hai piit kaa pyaasaa
Dekh to gori kise pukare
Basti basti dware dware
Bar mein jholi hath mein kasa
Ghum raha hai pit ka pyasa
Dil mein aag dabi hai Darna
Aankhon mein ashkon ka jharna
Lab par dard ka bara-masa
Ghum raha hai pit ka pyasa
KanTon se chhalni hain panw
Dhup mili chehre par chhanw
Aas mili aankhon mein nirasa
Ghum raha hai pit ka pyasa
Baat hamari man ke gori
Sab duniya se chori chori
GhunghaT ka paT khol zara sa
Ghum raha hai pit ka pyasa
Surat hai 'insha'-ji ki si
Baal pareshan aankhen nichi
Nam bhi kuch 'insha'-ji ka sa
Ghum raha hai pit ka pyasa
Soch nahin sajan ko bula le
Aage baDh sine se laga le
Tujh-bin de ise kaun dilasa
Ghum raha hai pit ka pyasa