ham jangal ke jogii ham ko ek jagah aaraam kahaan
— Ibn E Insha
Ham jangal ke jogee ham ko ek jagah aaraam kahaan
Aaj yahaan kal aur nagar men sub.h kahaan aur shaam kahaan
Ham se bhee piit kee baat karo Kuch ham se bhee logo pyaar karo
Tum to pareshaan ho bhee sakoge ham ko yahaan pe davaam kahaan
Saanjh-samay Kuch taare nikle pal-bhar chamke Doob ga.e
Ambar ambar DhoonDh raha hai ab unhen maah-e-tamaam kahaan
Dil pe jo biite sah lete hain apnee zabaan men kah lete hain
'inshaa'-jee ham log kahaan aur 'meer' kaa rang-e-kalaam kahaan