hamen tum pe gumaan e vahshat thaa ham logon ko rusvaa kiyaa tum ne
— Ibn E Insha
Hamen tum pe gumaan-e-vahshat thaa ham logon ko rusvaa kiyaa tum ne
Abhee fasl gulon kee nahin guzree kyuun daaman-e-chaak siyaa tum ne
Is shahr ke log baDe hee sakhee baDaa maan karen durveshon kaa
Par tum se to itne barham hain kya aan ke maang liyaa tum ne
Kin raahon se ho kar aa.ee ho kis gul kaa sandesa laa.ee ho
Ham baagh men khush khush baiThe the kya kar diyaa aa ke sabaa tum ne
Wo jo qais ghareeb the un kaa junoon sabhee kahte hain ham se raha hai fuzoon
Hamen dekh ke hans to diyaa tum ne kabhi dekhe hain ahl-e-wafa tum ne
Gham-e-ishq men kaaree davaa na duaa ye hai rog kaThin ye hai dard buraa
Ham karte jo apne se ho saktaa kabhi ham se bhee Kuch na kahaa tum ne
Ab rah-rav-e-maanda se Kuch na kaho haan shaad raho aabaad raho
BaDee der se yaad kiyaa tum ne baDee dard se dee hai sadaa tum ne
Ik baat kahenge 'inshaa'-jee tumhen rekhta kahte umr huee
Tum ek jahaan kaa ilm paDhe koi 'meer' saa sher kahaa tum ne