jab dahr ke gam se amaan na milii ham logon ne ishq iijaad kiyaa
— Ibn E Insha
Jab dahr ke gham se amaan na milee ham logon ne ishq eejaad kiyaa
Kabhi shahr-e-butaan men kharaab phire kabhi dasht-e-junoon aabaad kiyaa
Kabhi bastiyaan ban kabhi koh-o-daman raha kitne dinon yahee jee kaa chalan
Jahaan husn milaa vahaan baith rahe jahaan pyaar milaa vahaan saad kiyaa
Shab-e-maah men jab bhee ye dard uThaa kabhi bait kahe likhee chaand-nagar
Kabhi koh se jaa sar phoD mare kabhi qais ko jaa ustaad kiyaa
Yahee ishq bil-aakhir rog banaa ki hai chaah ke saath ba-jog banaa
Jise bannaa thaa aish wo sog banaa baDaa man ke nagar men fasaad kiyaa
Ab qurbat-o-sohbat-e-yaar kahaan lab o aariz o zulf o kanaar kahaan
Ab apna bhee 'meer' saa aalam hai Tuk dekh liyaa jee shaad kiyaa