jangal jangal shauq se ghuumo dasht ki sair mudaam karo

Ibn E Insha

Jangal jangal shauq se ghoomo dasht kee sair mudaam karo 'inshaa'-jee ham paas bhee lekin raat kee raat qayaam karo Ashkon se apne dil ko hikaayat daaman par irqaam karo Ishq men jab yahee kaam hai yaar vale ke khuda kaa naam karo Kab se khaDe hain bar men khiraaj-e-ishq ke liye sar-e-raah-guzaar Ek nazar se saada-rakhoo ham saada-dilon ko ghulaam karo Dil kee mataa.a to luuT rahe ho husn kee dee hai zakaat kabhee Roz-e-hisaab qareeb hai logo Kuch to savaab kaa kaam karo 'meer' se bai.at kee hai to 'inshaa' miir kee bai.at bhee hai zaroor Shaam ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shaam karo