Kuch kahne kaa vaqt nahin ye Kuch na kaho khaamosh raho

Ibn E Insha

Kuch kahne kaa vaqt naheen ye Kuch na kaho khaamosh raho Ai logo khaamosh raho haan ai logo khaamosh raho Sach achchhaa par us ke jilau men zahr kaa hai ik pyaala bhee Paagal ho kyuun naahaq ko suqraat bano khaamosh raho Un kaa ye kahnaa sooraj hee dhartee ke phere kartaa hai Sar-aankhon par sooraj hee ko ghoomne do khaamosh raho Mahbas men Kuch habs hai aur zanjeer kaa aahan chubhtaa hai Phir socho haan phir socho haan phir socho khaamosh raho Garm aansoo aur ThanDee aahen man men kya kya mausam hain Is bagiyaa ke bhed na kholo sair karo khaamosh raho Aankhen muund kinaare baiTho man ke rakkho band kivaaD 'inshaa'-jee lo dhaagaa lo aur lab see lo khaamosh raho