shaam e gam ki sahar nahin hotii
— Ibn E Insha
Shaam-e-gham kee sahar nahin hotee
Yaa hameen ko khabar nahin hotee
Ham ne sab dukh jahaan ke dekhe hain
Bekalee is qadar nahin hotee
Naala yuun naa-rasaa nahin rahtaa
Aah yuun be-asar nahin hotee
Chaand hai kahkashaan hai taare hain
Koi shai naama-bar nahin hotee
Ek jaan-soz o naa-muraad khalish
Is taraf hai udhar nahin hotee
Dosto ishq hai khataa lekin
Kya khataa darguzar nahin hotee
Raat aa kar guzar bhee jaatee hai
Ik hamaaree sahar nahin hotee
Be-qaraaree sahee nahin jaatee
Zindagee mukhtasar nahin hotee
Ek din dekhne ko aa jaate
Ye havas umr bhar nahin hotee
Husn sab ko khuda nahin deta
Har kisee kee nazar nahin hotee
Dil piyaala nahin gadaa.ee kaa
Aashiqee dar-ba-dar nahin hotee