us shaam wo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa

Ibn E Insha

Us shaam wo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa Wo shahr wo koocha wo makaan yaad rahegaa Wo Tiis ki ubhree thee idhar yaad rahegee Wo dard ki uTThaa thaa yahaan yaad rahegaa Ham shauq ke shole kee lapak bhuul bhee jaa.en Wo sham-e-fasurda kaa dhuaan yaad rahegaa Haan bazm-e-shabaana men hama-shauq jo us din Ham the tiree jaanib nigaraan yaad rahegaa Kuch 'meer' ke abyaat the Kuch 'faiz' ke misre Ik dard kaa thaa jin men bayaan yaad rahegaa Aankhon men sulagtee huee vahshat ke jilau men Wo hairat o hasrat kaa jahaan yaad rahegaa Jaan-bakhsh see us barg-e-gul-e-tar kee taraavat Wo lams-e-azeez-e-do-jahaan yaad rahegaa Ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge Too yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa