abuu taalib ke bete
— Iftikhar Arif
Jabeen-e-vaqt par likkhee huee sachchaa.iyaan raushan rahi hain
Taa-abad raushan rahengee
Khudaa shaahid hai aur wo zaat shaahid hai ki jo vaj.h-e-asaas-e-anafas-o-aafaaq hai
Aur khair kee taareekh kaa wo baab-e-avval hai
Abad tak jis kaa faizaan-e-karam jaaree rahegaa
Yaqeen ke aagahee ke raushnee ke qaafile har daur men aate rahe hain
Taa-abad aate rahenge
Aboo-taalib ke beTe hifz-e-naamoos-e-risaalat kee rivaayat ke amiin the
Jaan denaa jaante the
Vo muslim hon ki wo abbaas hon aun o mohamaad hon alee-akbar hon qaasim hon alee-asghar hon
Haq pahchaante the
Lashkar-e-baatil ko kab gardaante the
Aboo-taalib ke beTe sar-bureeda ho ke bhee ailaan-e-haq karte rahe hain
Aboo-taalib ke beTe paa-ba-jaulaan ho ke bhee ailaan-e-haq karte rahe hain
Aboo-taalib ke beTe sarf-e-zindaan ho ke bhee ailaan-e-haq karte rahe hain
Madeena ho najaf ho karbalaa ho kaazimain o saamira ho mash.had o baghdaad ho
Aal-e-aboo-taalib ke qadmon ke nishaan
Insaaniyat ko us kee manzil kaa pata dete rahe hain taa-abad dete rahenge
Aboo-taalib ke beTon aur ghulmaan-e-alee-ibn-e-abee-taalib men ik nisbat rahi hai
Mohabbat kee ye nisbat umar bhar qaa.em rahegee
Taa-abad qaa.em rahegee
Jabin-e-waqt par likkhi hui sachchaiyan raushan rahi hain
Ta-abad raushan rahengi
KHuda shahid hai aur wo zat shahid hai ki jo wajh-e-asas-e-anafas-o-afaq hai
Aur KHair ki tariKH ka wo bab-e-awwal hai
Abad tak jis ka faizan-e-karam jari rahega
Yaqin ke aagahi ke raushni ke qafile har daur mein aate rahe hain
Ta-abad aate rahenge
Abu-talib ke beTe hifz-e-namus-e-risalat ki riwayat ke amin the
Jaan dena jaante the
Wo muslim hon ki wo abbas hon aun o mohamad hon ali-akbar hon qasim hon ali-asghar hon
Haq pahchante the
Lashkar-e-baatil ko kab gardante the
Abu-talib ke beTe sar-burida ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
Abu-talib ke beTe pa-ba-jaulan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
Abu-talib ke beTe sarf-e-zindan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
Madina ho najaf ho karbala ho kazimain o samira ho mashhad o baghdad ho
Aal-e-abu-talib ke qadmon ke nishan
Insaniyat ko us ki manzil ka pata dete rahe hain ta-abad dete rahenge
Abu-talib ke beTon aur ghulman-e-ali-ibn-e-abi-talib mein ek nisbat rahi hai
Mohabbat ki ye nisbat umar bhar qaem rahegi
Ta-abad qaem rahegi