aur havaa chup rahii shaakh e zaituun par kam sukhan faakhtaaon ke itne basere ujaade gae
— Iftikhar Arif
Shaakh-e-zaitoon par kam-sukhan faakhtaaon ke itne basere ujaaDe ga.e
Aur havaa chup rahi
Be-karaan aasmaanon kee pihnaa.iyaan be-nasheman shikasta paron kee tag-o-taaz par bain kartee raheen
Aur havaa chup rahi
Zard parcham uDaataa huaa lashkar-e-be-amaan gul-zameenon ko paamaal kartaa raha
Aur havaa chup rahi
Aarzoomand aankhen bashaarat-talab dil duaaon ko uTThe hue haath sab be-samar rah ga.e
Aur havaa chup rahi
Aur tab habs ke qaharmaan mausamon ke azaab in zameenon pe bheje ga.e
Aur munaadee karaa dee ga.ee
Jab kabhi rang kee khushbuon kee uDaanon kee awaaz kee aur khawabon kee tauheen kee jaa.egee
Ye azaab in zameenon pe aate rahenge
ShaKH-e-zaitun par kam-suKHan faKHtaon ke itne basere ujaDe gae
Aur hawa chup rahi
Be-karan aasmanon ki pihnaiyan be-nasheman shikasta paron ki tag-o-taz par bain karti rahin
Aur hawa chup rahi
Zard parcham uData hua lashkar-e-be-aman gul-zaminon ko pamal karta raha
Aur hawa chup rahi
Aarzumand aankhen bashaarat-talab dil duaon ko uTThe hue hath sab be-samar rah gae
Aur hawa chup rahi
Aur tab habs ke qaharman mausamon ke azab in zaminon pe bheje gae
Aur munadi kara di gai
Jab kabhi rang ki KHushbuon ki uDanon ki aawaz ki aur KHwabon ki tauhin ki jaegi
Ye azab in zaminon pe aate rahenge