azaab ye bhi kisi aur par nahin aayaa
— Iftikhar Arif
Azaab ye bhee kisee aur par nahin aayaa
Ki ek umr chale aur ghar nahin aayaa
Us ek khvaab kee hasrat men jal bujheen aankhen
Vo ek khvaab ki ab tak nazar nahin aayaa
Karen to kis se karen naa-rasaa.iyon kaa gila
Safar tamaam huaa ham-safar nahin aayaa
Dilon kee baat badan kee zabaan se kah dete
Ye chaahte the magar dil idhar nahin aayaa
Ajiib hee thaa mire daur-e-gumrahee kaa rafeeq
BichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aayaa
Hareem-e-lafz-o-ma.aanee se nisbaten bhee raheen
Magar saleeqa-e-arz-e-hunar nahin aayaa
Azab ye bhi kisi aur par nahin aaya
Ki ek umr chale aur ghar nahin aaya
Us ek KHwab ki hasrat mein jal bujhin aankhen
Wo ek KHwab ki ab tak nazar nahin aaya
Karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila
Safar tamam hua ham-safar nahin aaya
Dilon ki baat badan ki zaban se kah dete
Ye chahte the magar dil idhar nahin aaya
Ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq
BichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aaya
Harim-e-lafz-o-maani se nisbaten bhi rahin
Magar saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya