badan dariida ruuhon ke naam ek nazm
— Iftikhar Arif
Khawabon se tahee be-noor aankhen
Har shaam na.e manzar chaahen
Bechain badan pyaasee roohen
Har aan na.e paikar chaahen
Bebaak lahoo
An-dekhe sapnon kee khaatir
Jaane anjaane raston par
Kuchh naqsh banaanaa chaahtaa hai
Banjar paamaal zameenon men
Kuchh phuul khilaanaa chaahtaa hai
Yuun naqsh kahaan ban paate hain
Yuun phuul kahaan khilne vaale
In badan-dareeda roohon ke
Yuun chaak kahaan silne vaale
Bebaak lahoo ko hurmat ke aadaab sikhaane paDte hain
Tab miTTee mauj men aatee hai
Tab khvaab ke ma.anee bante hain
Tab khushboo rang dikhaatee hai
KHwabon se tahi be-nur aankhen
Har sham nae manzar chahen
Bechain badan pyasi ruhen
Har aan nae paikar chahen
Bebak lahu
An-dekhe sapnon ki KHatir
Jaane anjaane raston par
Kuchh naqsh banana chahta hai
Banjar pamal zaminon mein
Kuchh phul khilana chahta hai
Yun naqsh kahan ban pate hain
Yun phul kahan khilne wale
In badan-darida ruhon ke
Yun chaak kahan silne wale
Bebak lahu ko hurmat ke aadab sikhane paDte hain
Tab miTTi mauj mein aati hai
Tab KHwab ke mani bante hain
Tab KHushbu rang dikhati hai