balance sheet kise khabar thii
— Iftikhar Arif
Kise khabar thee
Ek musaafir mustaqbil zanjeer karegaa aur safar ke sab aadaab badal jaa.enge
Kise yaqeen thaa
Vaqt kee rau jis din muTThee men band ho ga.ee saaree aankhen saare khvaab badal jaa.enge
Hamen khabar thee
Hamen yaqeen thaa
Tabhee to ham ne toD diyaa thaa rishta-e-shohrat-e-aam
Tabhee to ham ne chhoD diyaa thaa shahr-e-numood-o-naam
Lekin ab mire andar kaa kamzor aadmee shaam savere mujhe Daraane aa jaataa hai
Na.e safar men kya khoyaa hai kya paayaa hai sab samjhaane aa jaataa hai
Kise KHabar thi
Ek musafir mustaqbil zanjir karega aur safar ke sab aadab badal jaenge
Kise yaqin tha
Waqt ki rau jis din muTThi mein band ho gai sari aankhen sare KHwab badal jaenge
Hamein KHabar thi
Hamein yaqin tha
Tabhi to hum ne toD diya tha rishta-e-shohrat-e-am
Tabhi to hum ne chhoD diya tha shahr-e-numud-o-nam
Lekin ab mere andar ka kamzor aadmi sham sawere mujhe Darane aa jata hai
Nae safar mein kya khoya hai kya paya hai sab samjhane aa jata hai