bastii bhi samundar bhi bayaabaan bhi miraa hai
— Iftikhar Arif
Bastee bhee samundar bhee bayaabaan bhee miraa hai
Aankhen bhee miree khvaab-e-pareshaan bhee miraa hai
Jo Doobtee jaatee hai wo kashtee bhee hai meree
Jo TooTtaa jaataa hai wo paimaan bhee miraa hai
Jo haath uThe the wo sabhee haath the mere
Jo chaak huaa hai wo girebaan bhee miraa hai
Jis kee koi awaaz na pahchaan na manzil
Vo qaafila-e-be-sar-o-saamaan bhee miraa hai
Veeraana-e-maqtal pe hijaab aayaa to is baar
Khud cheekh paDaa main ki ye unvaan bhee miraa hai
Vaaraftagi-e-sub.h-e-bashaarat ko khabar kya
Andesha-e-sad-shaam-e-ghareebaan bhee miraa hai
Main vaaris-e-gul hoon ki nahin hoon magar ai jaan
Khamyaaza-e-tauheen-e-bahaaraan bhee miraa hai
MiTTee kee gavaahee se baDee dil kee gavaahee
Yuun ho to ye zanjeer ye zindaan bhee miraa hai
Basti bhi samundar bhi bayaban bhi mera hai
Aankhen bhi meri KHwab-e-pareshan bhi mera hai
Jo Dubti jati hai wo kashti bhi hai meri
Jo TuTta jata hai wo paiman bhi mera hai
Jo hath uThe the wo sabhi hath the mere
Jo chaak hua hai wo gireban bhi mera hai
Jis ki koi aawaz na pahchan na manzil
Wo qafila-e-be-sar-o-saman bhi mera hai
Virana-e-maqtal pe hijab aaya to is bar
KHud chiKH paDa main ki ye unwan bhi mera hai
Waraftagi-e-subh-e-bashaarat ko KHabar kya
Andesha-e-sad-sham-e-ghariban bhi mera hai
Main waris-e-gul hun ki nahin hun magar ai jaan
KHamyaza-e-tauhin-e-bahaaran bhi mera hai
MiTTi ki gawahi se baDi dil ki gawahi
Yun ho to ye zanjir ye zindan bhi mera hai