duaa
— Iftikhar Arif
Ye jabr-e-maah-o-saal men ghiree huee zameen miree gavaah hai
Nashaat kee abad-kanaar manzilon men ek umr se main un kareem aur jameel saa.aton kaa muntazir hoon
Jin kee baaz-gasht se mire vajood kee sadaaqaton kaa inkishaaf ho
Khudaa kare bashaaraten sunaane vaale khush-kalaam taa.eron kee Toliyaan
Ufuq se shaakh-e-gul talak alaamat-e-visaal kee lakeeren kheench den
Lahoo kee vus.aton kaa inkishaaf ho
Lahoo kee azmaton kaa inkishaaf ho
Badan ke raaste vajood kee sadaaqaton kaa inkishaaf ho
Ye jabr-e-mah-o-sal mein ghiri hui zamin meri gawah hai
Nashat ki abad-kanar manzilon mein ek umr se main un karim aur jamil saaton ka muntazir hun
Jin ki baz-gasht se mere wajud ki sadaqaton ka inkishaf ho
KHuda kare bashaaraten sunane wale KHush-kalam taeron ki Toliyan
Ufuq se shaKH-e-gul talak alamat-e-visal ki lakiren khinch den
Lahu ki wusaton ka inkishaf ho
Lahu ki azmaton ka inkishaf ho
Badan ke raste wajud ki sadaqaton ka inkishaf ho