dukh aur tarah ke hain duaa aur tarah ki
— Iftikhar Arif
Dukh aur tarah ke hain duaa aur tarah kee
Aur daaman-e-qaatil kee havaa aur tarah kee
Deevaar pe likkhee huee tahreer hai Kuch aur
Detee hai khabar khalq-e-khuda aur tarah kee
Kis daam uThaa.enge khareedaar ki is baar
Baazaar men hai jins-e-wafa aur tarah kee
Bas aur koi din ki zaraa vaqt Thahar jaa.e
Sahraaon se aa.egee sadaa aur tarah kee
Ham koo-e-malaamat se nikal aa.e to ham ko
Raas aa.ee na phir aab-o-havaa aur tarah kee
Dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
Aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki
Diwar pe likkhi hui tahrir hai Kuch aur
Deti hai KHabar KHalq-e-KHuda aur tarah ki
Kis dam uThaenge KHaridar ki is bar
Bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki
Bas aur koi din ki zara waqt Thahar jae
Sahraon se aaegi sada aur tarah ki
Hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko
Ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki