ek kahaanii bahut puraanii

Iftikhar Arif

Ajab din the Ajab naa-mehrbaan din the bahut naa-mehrbaan din the Zamaane mujh se kahte the zameenen mujh se kahtee thiin Main ik be-bas qabeele kaa bahut tanhaa musaafir hoon Vo be-manzil musaafir hoon jise ik ghar nahin miltaa Main us raste kaa raahee hoon jise rahbar nahin miltaa Magar koi musalsal dil pe ik dastak diye jaataa tha kahtaa tha musaafir! Is qadar naa-mutma.in rehne se kya hogaa Malaal aisa bhee kya jo zehn ko har khvaab se mahroom kar de Jamaal-e-baagh-e-aa.inda ke har imkaan ko ma.adoom kar de Gul-e-fardaa ko fasl-e-rang men masmoom kar de Dilaase kee isee awaaz se saaree thakan kam ho ga.ee thee aur Dil ko phir qaraar aane lagaa tha Safar zaad-e-safar shauq-e-safar par aitbaar aane lagaa tha Main khush-qismat tha Kaisee saa.at-e-khush-rang o khush-aasaar men mujh ko Mire be-bas bahut tanhaa qabeele ko nayaa ghar mil gaya tha Ek rahbar mil gaya tha Ek manzil mil ga.ee thee aur imkaanon bharaa khawabon se ummeedon se raushan Ek manzar mil gaya tha Ajab din the Ajab na-mehrban din the bahut na-mehrban din the Zamane mujh se kahte the zaminen mujh se kahti thin Main ek be-bas qabile ka bahut tanha musafir hun Wo be-manzil musafir hun jise ek ghar nahin milta Main us raste ka rahi hun jise rahbar nahin milta Magar koi musalsal dil pe ek dastak diye jata tha kahta tha musafir! Is qadar na-mutmain rehne se kya hoga Malal aisa bhi kya jo zehn ko har KHwab se mahrum kar de Jamal-e-bagh-e-ainda ke har imkan ko madum kar de Gul-e-farda ko fasl-e-rang mein masmum kar de Dilase ki isi aawaz se sari thakan kam ho gai thi aur Dil ko phir qarar aane laga tha Safar zad-e-safar shauq-e-safar par e'tibar aane laga tha Main KHush-qismat tha Kaisi saat-e-KHush-rang o KHush-asar mein mujh ko Mere be-bas bahut tanha qabile ko naya ghar mil gaya tha Ek rahbar mil gaya tha Ek manzil mil gai thi aur imkanon bhara KHwabon se ummidon se raushan Ek manzar mil gaya tha