ek rukh

Iftikhar Arif

Wo furaat ke saahil par hon yaa kisee aur kinaare par Saare lashkar ek tarah ke hote hain Saare khanjar ek tarah ke hote hain GhoDon kee Taapon men rondee huee raushnee Dariyaa se maqtal tak phailee huee raushnee Saare manzar ek tarah ke hote hain Aise har manzar ke ba.ad ik sannaaTaa chhaa jaataa hai Ye sannaaTaa tabl-o-alam kee dahshat ko khaa jaataa hai SannaaTaa fariyaad kee lai hai ehtijaaj kaa lahja hai Ye koi aaj kee baat nahin hai bahut puraanaa qissa hai Har qisse men sabr ke tevar ek tarah ke hote hain Vo furaat ke saahil par hon yaa kisee aur kinaare par Saare lashkar ek tarah ke hote hain Wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par Sare lashkar ek tarah ke hote hain Sare KHanjar ek tarah ke hote hain GhoDon ki Tapon mein rondi hui raushni Dariya se maqtal tak phaili hui raushni Sare manzar ek tarah ke hote hain Aise har manzar ke baad ek sannaTa chha jata hai Ye sannaTa tabl-o-alam ki dahshat ko kha jata hai SannaTa fariyaad ki lai hai ehtijaj ka lahja hai Ye koi aaj ki baat nahin hai bahut purana qissa hai Har qisse mein sabr ke tewar ek tarah ke hote hain Wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par Sare lashkar ek tarah ke hote hain