ek savaal

Iftikhar Arif

Mere aabaa-o-ajdaad ne hurmat-e-aadmee ke liye Taa-abad raushnee ke liye Kalma-e-haq kahaa Maqtalon qaid-khaanon saleebon men bahtaa lahoo un ke hone kaa ailaan kartaa raha Vo lahoo hurmat-e-aadmee kee zamaanat banaa Taa-abad raushnee kee alaamat banaa Aur main paa-barahna sar-e-koocha-e-ehtiyaaj Rizq kee maslahat kaa asiir aadmee Sochtaa rah gaya Jism men mere un kaa lahoo hai to phir ye lahoo boltaa kyuun nahin? Mere aaba-o-ajdad ne hurmat-e-admi ke liye Ta-abad raushni ke liye Kalma-e-haq kaha Maqtalon qaid-KHanon salibon mein bahta lahu un ke hone ka ailan karta raha Wo lahu hurmat-e-admi ki zamanat bana Ta-abad raushni ki alamat bana Aur main pa-barahna sar-e-kucha-e-ehtiyaj Rizq ki maslahat ka asir aadmi Sochta rah gaya Jism mein mere un ka lahu hai to phir ye lahu bolta kyun nahin?