ek shaaer ek nazm

Iftikhar Arif

Apne shahsavaaron ko Qatl karne vaalon se Khoon-bahaa talab karnaa Vaarison pe vaajib thaa Qaatilon pe vaajib thaa Khoon-bahaa adaa karnaa Vaajibaat kee takmeel Munsifon pe vaajib thee Munsifon kee nigraanee Qudsiyon pe vaajib thee Vaqt kee adaalat men Ek samt masnad thee Ek samt khanjar thaa Taaj-e-zar-nigaar ik samt Ek samt lashkar thaa Ik taraf muqaddar thaa Taa.ife pukaar uTThe Taaj-o-takht zindaabaad Saaz-o-rakht zindaabaad Saaz-o-rakht zindaabaad Khalq ham se kahtee hai Saaraa maajraa likkhen Kis ne kis tarah paayaa Apnaa khoon-bahaa likkhen Chashm-e-nam se sharminda Ham qalam se sharminda Sochte hain Kyaa likkhen Apne shahsawaron ko Qatl karne walon se KHun-baha talab karna Warison pe wajib tha Qatilon pe wajib tha KHun-baha ada karna Wajibaat ki takmil Munsifon pe wajib thi Munsifon ki nigrani Qudsiyon pe wajib thi Waqt ki adalat mein Ek samt masnad thi Ek samt KHanjar tha Taj-e-zar-nigar ek samt Ek samt lashkar tha Ek taraf muqaddar tha Taife pukar uTThe Taj-o-taKHt zindabaad Saz-o-raKHt zindabaad Saz-o-raKHt zindabaad KHalq hum se kahti hai Sara majra likkhen Kis ne kis tarah paya Apna KHun-baha likkhen Chashm-e-nam se sharminda Hum qalam se sharminda Sochte hain Kya likkhen