ek udaas shaam ke naam ajiib log hain

Iftikhar Arif

Ajiib log hain Ham ahl-e-aitbaar kitne bad-naseeb log hain Jo raat jaagne kee thee wo saaree raat Khvaab dekh dekh kar guzaarte rahe Jo naam bhoolne kaa tha us ek naam ko Galee galee pukaarte rahe Jo khel jeetne kaa tha wo khel haarte rahe Ajiib log hain Ham ahl-e-aitbaar kitne bad-naseeb log hain Kisee se bhee to qarz-e-aabroo adaa nahin huaa Lahoo-luhaan saa.aton kaa faisla nahin huaa Baras guzar ga.e hain koi mo.ajaza nahin huaa Vo jal-bujhaa ki aag jis ke shola-e-nafas men thee Vo tiir khaa gaya kamaan jis kee dastaras men thee Sipaah-e-mahr kaa faseel-e-shab ko intizaar hai Kab aa.egaa wo shakhs jis kaa sab ko intizaar hai Ham ahl-e-aitbaar kitne bad-naseeb log hain Ajiib log hain Ham ahl-e-aitbaar kitne bad-naseeb log hain Ajib log hain Hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain Jo raat jagne ki thi wo sari raat KHwab dekh dekh kar guzarte rahe Jo nam bhulne ka tha us ek nam ko Gali gali pukarte rahe Jo khel jitne ka tha wo khel haarte rahe Ajib log hain Hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain Kisi se bhi to qarz-e-abru ada nahin hua Lahu-luhan saaton ka faisla nahin hua Baras guzar gae hain koi moajaza nahin hua Wo jal-bujha ki aag jis ke shola-e-nafas mein thi Wo tir kha gaya kaman jis ki dastaras mein thi Sipah-e-mahr ka fasil-e-shab ko intizar hai Kab aaega wo shaKHs jis ka sab ko intizar hai Hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain Ajib log hain Hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain