elaan naama
— Iftikhar Arif
Main laakh buzdil sahee magar main usee qabeele kaa aadmee hoon ki jis ke beTon ne
Jo kahaa us pe jaan de dee
Main jaantaa thaa mire qabeele kee khema-gaahen jalaa.ee jaa.engee aur tamaashaa.ee
Raqs-e-sho.ala-fishaan par israar hee karenge
Main jaantaa thaa miraa qabeela bureeda aur be-ridaa saron kee gavaahiyaan
Le ke aa.egaa phir bhee log inkaar hee karenge
So main kameen-gaah-e-aafiyat men chalaa gaya thaa
So main amaan-gaah-e-maslahat men chalaa gaya thaa
Aur ab mujhe mere shahsavaaron kaa Khoon awaaz de raha hai
To nazr-e-sar le ke aa gaya hoon
Tabaah hone ko ek ghar le ke aa gaya hoon
Main laakh buzdil sahee magar main usee qabeele kaa aadmee hoon!
Main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun ki jis ke beTon ne
Jo kaha us pe jaan de di
Main jaanta tha mere qabile ki KHema-gahen jalai jaengi aur tamashai
Raqs-e-shoala-fishan par israr hi karenge
Main jaanta tha mera qabila burida aur be-rida saron ki gawahiyan
Le ke aaega phir bhi log inkar hi karenge
So main kamin-gah-e-afiyat mein chala gaya tha
So main aman-gah-e-maslahat mein chala gaya tha
Aur ab mujhe mere shahsawaron ka KHun aawaz de raha hai
To nazr-e-sar le ke aa gaya hun
Tabah hone ko ek ghar le ke aa gaya hun
Main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun!