gumnaam sipaahii ki qabr par
— Iftikhar Arif
Sipaahee aaj bhee koi nahin aayaa
Kisee ne phuul hee bheje
Na bastee ke gharon se aashnaa geeton kee aavaazen sunaa.ee den
Na parcham koi lahraayaa
Sipaahee! shaam hone aa.ee aur koi nahin aayaa
Fanaa kee khandaqon ko jaan de kar paar kar jaanaa baDee baat
Jahaan jiine kee khaatir mar rahe hon log us bastee men mar jaanaa baDee baat
Magar pal bhar ko ye sochaa to hota
Tumhaare ba.ad ghar kee muntazir dahleez ko jaage hue dil kee nishaanee kaun degaa
Havaaon se ulajhtee raushnee ko aitbaar-e-kaamraanee kaun degaa
Dar-o-deevaar se lipTee huee belon ko paanee kaun degaa
Sipahi aaj bhi koi nahin aaya
Kisi ne phul hi bheje
Na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den
Na parcham koi lahraya
Sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya
Fana ki KHandaqon ko jaan de kar par kar jaana baDi baat
Jahan jine ki KHatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana baDi baat
Magar pal bhar ko ye socha to hota
Tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega
Hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega
Dar-o-diwar se lipTi hui belon ko pani kaun dega