ham apne raftagaan ko yaad rakhnaa chaahte hain
— Iftikhar Arif
Ham apne raftagaan ko yaad rakhnaa chaahte hain
Dilon ko dard se aabaad rakhnaa chaahte hain
Mubaadaa mundamil zakhmon kee soorat bhuul hee jaa.en
Abhee Kuch din ye ghar barbaad rakhnaa chaahte hain
Bahut raunaq thee un ke dam qadam se shahr-e-jaan men
Vahee raunaq ham un ke baa'd rakhnaa chaahte hain
Bahut mushkil zamaanon men bhee ham ahl-e-mohabbat
Vafaa par ishq kee buniyaad rakhnaa chaahte hain
Saron men ek hee sauda ki lau dene lage khaak
Umeeden hasb-e-istedaad rakhnaa chaahte hain
Kaheen aisa na ho harf-e-duaa mafhoom kho de
Duaa ko soorat-e-fariyaad rakhnaa chaahte hain
Qalam aalooda-e-naan-o-namak rahtaa hai phir bhee
Jahaan tak ho sake aazaad rakhnaa chaahte hain
Hum apne raftagan ko yaad rakhna chahte hain
Dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain
Mubaada mundamil zaKHmon ki surat bhul hi jaen
Abhi Kuch din ye ghar barbaad rakhna chahte hain
Bahut raunaq thi un ke dam qadam se shahr-e-jaan mein
Wahi raunaq hum un ke ba'd rakhna chahte hain
Bahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat
Wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain
Saron mein ek hi sauda ki lau dene lage KHak
Umiden hasb-e-istedad rakhna chahte hain
Kahin aisa na ho harf-e-dua mafhum kho de
Dua ko surat-e-fariyaad rakhna chahte hain
Qalam aaluda-e-nan-o-namak rehta hai phir bhi
Jahan tak ho sake aazad rakhna chahte hain