iltijaa
— Iftikhar Arif
Mire shikaariyo amaan chaahtaa hoon main
Bas ab salaamtee-e-jaan kee had talak uDaan chaahtaa hoon main
Mire shikaariyo amaan chaahtaa hoon main
Main ek baar pahle bhee hare-bhare dinon kee aarzoo men zer-e-daam aa chukaa hoon
Mujh ko bakhsh do
Main is se pahle bhee to saaya-e-shajar kee justujoo men itne zakhm khaa chukaa hoon
Mujh ko bakhsh do
Mire shikaariyo amaan chaahtaa hoon main
Bas ab salaamtee-e-jaan kee had talak uDaan chaahtaa hoon main
Bas ek ghar zameen o aasmaan ke darmiyaan chaahtaa hoon main
Mire shikaariyo amaan chaahtaa hoon main
Mere shikariyo aman chahta hun main
Bas ab salamti-e-jaan ki had talak uDan chahta hun main
Mere shikariyo aman chahta hun main
Main ek bar pahle bhi hare-bhare dinon ki aarzu mein zer-e-dam aa chuka hun
Mujh ko baKHsh do
Main is se pahle bhi to saya-e-shajar ki justuju mein itne zaKHm kha chuka hun
Mujh ko baKHsh do
Mere shikariyo aman chahta hun main
Bas ab salamti-e-jaan ki had talak uDan chahta hun main
Bas ek ghar zamin o aasman ke darmiyan chahta hun main
Mere shikariyo aman chahta hun main