kahaan ke naam o nasab ilm kya faziilat kya
— Iftikhar Arif
Kahaan ke naam o nasab ilm kya fazeelat kya
Jahaan-e-rizq men tauqeer-e-ahl-e-haajat kya
Shikam kee aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
Sag-e-zamaana hain ham kya hamaaree hijrat kya
Dimashq-e-maslahat o koofa-e-nifaaq ke biich
Fughaan-e-qaafila-e-be-navaa kee qeemat kya
Ma.aal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham
Badal ga.e to badalne pe itnee hairat kya
Qimaar-khaana-e-hastee men ek baazee par
Tamaam umr lagaa dee to phir shikaayat kya
Farogh-e-san.at-e-qad-aavaree kaa mausam hai
Subuk hue pe bhee niklaa hai qadd-o-qaamat kya
Kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya
Jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya
Shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
Sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya
Dimashq-e-maslahat o kufa-e-nifaq ke bich
Fughan-e-qafila-e-be-nawa ki qimat kya
Maal-e-izzat-e-sadat-e-ishq dekh ke hum
Badal gae to badalne pe itni hairat kya
Qimar-KHana-e-hasti mein ek bazi par
Tamam umr laga di to phir shikayat kya
Farogh-e-sanat-e-qad-awari ka mausam hai
Subuk hue pe bhi nikla hai qadd-o-qamat kya