khvaab ki tarah bikhar jaane ko ji chaahtaa hai
— Iftikhar Arif
Khvaab kee tarah bikhar jaane ko jee chaahtaa hai
Aisee tanhaa.ee ki mar jaane ko jee chaahtaa hai
Ghar kee vahshat se laraztaa hoon magar jaane kyuun
Shaam hotee hai to ghar jaane ko jee chaahtaa hai
Duub jaaon to koi mauj nishaan tak na bataa.e
Aisee naddee men utar jaane ko jee chaahtaa hai
Kabhee mil jaa.e to raste kee thakan jaag paDe
Aisee manzil se guzar jaane ko jee chaahtaa hai
Vahee paimaan jo kabhi jee ko khush aayaa tha bahut
Usee paimaan se mukar jaane ko jee chaahtaa hai
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
Aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
Ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun
Sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Dub jaun to koi mauj nishan tak na batae
Aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai
Kabhi mil jae to raste ki thakan jag paDe
Aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai
Wahi paiman jo kabhi ji ko KHush aaya tha bahut
Usi paiman se mukar jaane ko ji chahta hai