koi junoon koi sauda na sar men rakkhaa jaae

— Iftikhar Arif

Koi junoon koi sauda na sar men rakkhaa jaa.e Bas ek rizq kaa manzar nazar men rakkhaa jaa.e Havaa bhee ho ga.ee meesaaq-e-teeragee men fareeq Koee charaagh na ab rah-guzar men rakkhaa jaa.e Usee ko baat na pahunche jise pahunchnee ho Ye iltizaam bhee arz-e-hunar men rakkhaa jaa.e Na jaane kaun se tarkash ke tiir kab chal jaa.en Nishaan-e-mehr kamaan-e-sipar men rakkhaa jaa.e Vafaa gumaan hee Thahree to kya zaroor ki ab Lihaaz-e-ham-safaree bhee safar men rakkhaa jaa.e Har ik se poochhte phirte hain tere khaana-ba-dosh Azaab-e-dar-ba-daree kis ke ghar men rakkhaa jaa.e Hamen bhee aafiyat-e-jaan kaa hai khayaal bahut Hamen bhee halqa-e-naa-mo.atabar men rakkhaa jaa.e Koi junun koi sauda na sar mein rakkha jae Bas ek rizq ka manzar nazar mein rakkha jae Hawa bhi ho gai misaq-e-tiragi mein fariq Koi charagh na ab rah-guzar mein rakkha jae Usi ko baat na pahunche jise pahunchni ho Ye iltizam bhi arz-e-hunar mein rakkha jae Na jaane kaun se tarkash ke tir kab chal jaen Nishan-e-mehr kaman-e-sipar mein rakkha jae Wafa guman hi Thahri to kya zarur ki ab Lihaz-e-ham-safari bhi safar mein rakkha jae Har ek se puchhte phirte hain tere KHana-ba-dosh Azab-e-dar-ba-dari kis ke ghar mein rakkha jae Hamein bhi aafiyat-e-jaan ka hai KHayal bahut Hamein bhi halqa-e-na-moatabar mein rakkha jae