koi muzhda na bashaarat na duaa chaahtii hai
— Iftikhar Arif
Koi muzhda na bashaarat na duaa chaahtee hai
Roz ik taaza khabar khalq-e-khuda chaahtee hai
Mauj-e-khoon sar se guzarnee thee so wo bhee guzree
Aur kya koocha-e-qaatil kee havaa chaahtee hai
Shahr-e-be-mehr men lab-basta ghulaamon kee qataar
Na.e aa.een-e-aseeree kee binaa chaahtee hai
Koee bole ke na bole qadam uTThen na uThen
Vo jo ik dil men hai deevaar uThaa chaahtee hai
Ham bhee labbaik kahen aur fasaana ban jaa.en
Koee awaaz sar-e-koh-e-nidaa chaahtee hai
Yahee lau thee ki ulajhtee rahi har raat ke saath
Ab ke khud apnee havaaon men bujhaa chaahtee hai
Ahd-e-aasoodgi-e-jaan men bhee tha jaan se aziiz
Vo qalam bhee mire dushman kee anaa chaahtee hai
Bahr-e-paamaali-e-gul aa.ee hai aur mauj-e-khizaan
Guftugoo men ravish-e-baad-e-sabaa chaahtee hai
Khaak ko ham-sar-e-mahtaab kiyaa raat kee raat
Khalq ab bhee vahee naqsh-e-kaf-e-paa chaahtee hai
Koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai
Roz ek taza KHabar KHalq-e-KHuda chahti hai
Mauj-e-KHun sar se guzarni thi so wo bhi guzri
Aur kya kucha-e-qatil ki hawa chahti hai
Shahr-e-be-mehr mein lab-basta ghulamon ki qatar
Nae aain-e-asiri ki bina chahti hai
Koi bole ke na bole qadam uTThen na uThen
Wo jo ek dil mein hai diwar uTha chahti hai
Hum bhi labbaik kahen aur fasana ban jaen
Koi aawaz sar-e-koh-e-nida chahti hai
Yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath
Ab ke KHud apni hawaon mein bujha chahti hai
Ahd-e-asudgi-e-jaan mein bhi tha jaan se aziz
Wo qalam bhi mere dushman ki ana chahti hai
Bahr-e-pamali-e-gul aai hai aur mauj-e-KHizan
Guftugu mein rawish-e-baad-e-saba chahti hai
KHak ko ham-sar-e-mahtab kiya raat ki raat
KHalq ab bhi wahi naqsh-e-kaf-e-pa chahti hai