mansab na kulaah chaahtaa hoon

Iftikhar Arif

Mansab na kulaah chaahtaa hoon Tanhaa hoon gavaah chaahtaa hoon Ai ajr-e-azeem dene vaale! Taufeeq-e-gunaah chaahtaa hoon Main sholagi-e-vajood ke biich Ik khatt-e-siyaah chaahtaa hoon Dartaa hoon bahut bulandiyon se Pastee se nibaah chaahtaa hoon Vo din ki tujhe bhee bhuul jaaon Us din se panaah chaahtaa hoon Mansab na kulah chahta hun Tanha hun gawah chahta hun Ai ajr-e-azim dene wale! Taufiq-e-gunah chahta hun Main sholagi-e-wajud ke bich Ek KHatt-e-siyah chahta hun Darta hun bahut bulandiyon se Pasti se nibah chahta hun Wo din ki tujhe bhi bhul jaun Us din se panah chahta hun