meraa maalik jab taufiiq arzaanii kartaa hai

Iftikhar Arif

Meraa maalik jab taufeeq arzaanee kartaa hai Gahre zard zameen kee rangat dhaanee kartaa hai Bujhte hue diye kee lau aur bheegee aankh ke biich Koee to hai jo khawabon kee nigaraanee kartaa hai Maalik se aur miTTee se aur maan se baaghee shakhs Dard ke har meesaaq se roo-gardaanee kartaa hai Yaadon se aur khawabon se aur ummeedon se rabt Ho jaa.e to jiine men aasaanee kartaa hai Kyaa jaane kab kis saa.at men tab.a ravaan ho jaa.e Ye Dariya be-mausam bhee tughyaanee kartaa hai Dil paagal hai roz na.ee naadaanee kartaa hai Aag men aag milaataa hai phir paanee kartaa hai Mera malik jab taufiq arzani karta hai Gahre zard zamin ki rangat dhani karta hai Bujhte hue diye ki lau aur bhigi aankh ke bich Koi to hai jo KHwabon ki nigarani karta hai Malik se aur miTTi se aur man se baghi shaKHs Dard ke har misaq se ru-gardani karta hai Yaadon se aur KHwabon se aur ummidon se rabt Ho jae to jine mein aasani karta hai Kya jaane kab kis saat mein taba rawan ho jae Ye dariya be-mausam bhi tughyani karta hai Dil pagal hai roz nai nadani karta hai Aag mein aag milata hai phir pani karta hai