mire khuda mujhe itnaa to mo atabar kar de
— Iftikhar Arif
Mire khuda mujhe itnaa to mo'atabar kar de
Main jis makaan men rahtaa hoon us ko ghar kar de
Ye raushnee ke ta.aaqub men bhaagtaa huaa din
Jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de
Main zindagee kee duaa maangne lagaa hoon bahut
Jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
Sitaara-e-saharee Doobne ko aayaa hai
Zaraa koi mire sooraj ko baa-khabar kar de
Qabeela-vaar kamaanen kaDakne vaalee hain
Mire lahoo kee gavaahee mujhe niDar kar de
Main apne khvaab se kaT kar jiyoon to meraa khuda
UjaaD de miree miTTee ko dar-ba-dar kar de
Miree zameen miraa aakhiree havaala hai
So main rahoon na rahoon is ko baarvar kar de
Mere KHuda mujhe itna to mo'atabar kar de
Main jis makan mein rehta hun us ko ghar kar de
Ye raushni ke taaqub mein bhagta hua din
Jo thak gaya hai to ab is ko muKHtasar kar de
Main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
Jo ho sake to duaon ko be-asar kar de
Sitara-e-sahari Dubne ko aaya hai
Zara koi mere suraj ko ba-KHabar kar de
Qabila-war kamanen kaDakne wali hain
Mere lahu ki gawahi mujhe niDar kar de
Main apne KHwab se kaT kar jiyun to mera KHuda
UjaD de meri miTTi ko dar-ba-dar kar de
Meri zamin mera aaKHiri hawala hai
So main rahun na rahun is ko barwar kar de