mukaalima
— Iftikhar Arif
''havaa ke parde men kaun hai jo charaagh kee lau se kheltaa hai
Koee to hogaa
Jo khil.at-e-intisaab pahnaa ke waqt kee rau se kheltaa hai
Koee to hogaa
Hijaab ko ramz-e-noor kahtaa hai aur partav se kheltaa hai
Koee to hogaa''
''koi nahin hai
Kaheen nahin hai
Ye khush-yaqeenon ke khush-gumaanon ke vaahime hain jo har savaalee se bai.at-e-aitbaar lete hain
Us ko andar se maar dete hain''
''to kaun hai wo jo lauh-e-aab-e-ravaan pe suraj ko sabt kartaa hai aur baadal uchhaaltaa hai
Jo baadalon ko samundaron par kasheed kartaa hai aur batn-e-sadaf men khursheed Dhaaltaa hai
Vo sang men aag, aag men rang, rang men raushnee ke imkaan rakhne vaalaa
Vo khaak men saut, saut men harf, harf men zindagee ke saamaan rakhne vaalaa
Naheen koi hai
Kaheen koi hai
Koee to hogaa''
Hawa ke parde mein kaun hai jo charagh ki lau se khelta hai
Koi to hoga
Jo KHilat-e-intisab pahna ke waqt ki rau se khelta hai
Koi to hoga
Hijab ko ramz-e-nur kahta hai aur partaw se khelta hai
Koi to hoga
Koi nahin hai
Kahin nahin hai
Ye KHush-yaqinon ke KHush-gumanon ke wahime hain jo har sawali se baiat-e-e'tibar lete hain
Us ko andar se mar dete hain
To kaun hai wo jo lauh-e-ab-e-rawan pe suraj ko sabt karta hai aur baadal uchhaalta hai
Jo baadalon ko samundaron par kashid karta hai aur batn-e-sadaf mein KHurshid Dhaalta hai
Wo sang mein aag, aag mein rang, rang mein raushni ke imkan rakhne wala
Wo KHak mein saut, saut mein harf, harf mein zindagi ke saman rakhne wala
Nahin koi hai
Kahin koi hai
Koi to hoga