nirvaan

Iftikhar Arif

Jism ke raaston se guzar kar Mutma.in nafs kee aarzoo men Jo bhee niklaa wo vaapas na aayaa Ruuh kee vahshaton men ulajh kar Mutma.in nafs kee aarzoo men Jo bhee niklaa wo vaapas na aayaa Log phir dekhte kyuun nahin hain Log phir sochte kyuun nahin hain Log phir bolte kyuun nahin hain Jism ke raston se guzar kar Mutmain nafs ki aarzu mein Jo bhi nikla wo wapas na aaya Ruh ki wahshaton mein ulajh kar Mutmain nafs ki aarzu mein Jo bhi nikla wo wapas na aaya Log phir dekhte kyun nahin hain Log phir sochte kyun nahin hain Log phir bolte kyun nahin hain