pas e navisht khudaavand mujhe taufiiq de main aise zinda lafz likkhuun
— Iftikhar Arif
Khudaavand mujhe taufeeq de main aise zinda lafz likkhoon
Jo na likkhoon main to Dunya baanjh ho jaa.e
Magar phir sochtaa hoon itne zinda lafz likkhe jaa chuke hain
Aur likhe jaa rahe hain
Main bhee likh loongaa to kya ho jaa.egaa
Kyaa ye puraanaa aadmee phir se nayaa ho jaa.egaa
Yaa doosraa ho jaa.egaa
KHudawand mujhe taufiq de main aise zinda lafz likkhun
Jo na likkhun main to duniya banjh ho jae
Magar phir sochta hun itne zinda lafz likkhe ja chuke hain
Aur likhe ja rahe hain
Main bhi likh lunga to kya ho jaega
Kya ye purana aadmi phir se naya ho jaega
Ya dusra ho jaega