samajh rahe hain magar bolne kaa yaaraa nahin
— Iftikhar Arif
Samajh rahe hain magar bolne kaa yaaraa nahin
Jo ham se mil ke bichhaD jaa.e wo hamaaraa nahin
Abhee se barf ulajhne lagee hai baalon se
Abhee to qarz-e-mah-o-saal bhee utaaraa nahin
Bas ek shaam use awaaz dee thee hijr kee shaam
Phir us ke ba.ad use umr bhar pukaaraa nahin
Havaa kuch aisi chalee hai ki tere vahshee ko
Mizaaj-pursee-e-baad-e-sabaa gavaaraa nahin
Samundaron ko bhee hairat huee ki Doobte waqt
Kisee ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahin
Vo ham nahin the to phir kaun tha sar-e-baazaar
Jo kah raha tha ki biknaa hamen gavaaraa nahin
Ham ahl-e-dil hain mohabbat kee nisbaton ke amiin
Hamaare paas zameenon kaa goshvaara nahin
Samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin
Jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin
Abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se
Abhi to qarz-e-mah-o-sal bhi utara nahin
Bas ek sham use aawaz di thi hijr ki sham
Phir us ke baad use umr bhar pukara nahin
Hawa kuch aisi chali hai ki tere wahshi ko
Mizaj-pursi-e-baad-e-saba gawara nahin
Samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte waqt
Kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin
Wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar
Jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin
Hum ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amin
Hamare pas zaminon ka goshwara nahin