sar e baam e hijr diyaa bujhaa to khabar huii

Iftikhar Arif

Sar-e-baam-e-hijr diyaa bujhaa to khabar huee Sar-e-shaam koi judaa huaa to khabar huee Miraa khush-khiraam balaa kaa tez-khiraam thaa Miree zindagee se chalaa gaya to khabar huee Mire saare harf tamaam harf azaab the Mire kam-sukhan ne sukhan kiyaa to khabar huee Koee baat ban ke bigaD ga.ee to pata chalaa Mire bevafaa ne karam kiyaa to khabar huee Mire ham-safar ke safar kee samt hee aur thee Kaheen raasta koi gum huaa to khabar huee Mire qissa-go ne kahaan kahaan se baDhaa.ee baat Mujhe daastaan kaa siraa milaa to khabar huee Na lahoo kaa mausam-e-rang-rez na dil na main Koee khvaab thaa ki bikhar gaya to khabar huee Sar-e-baam-e-hijr diya bujha to KHabar hui Sar-e-sham koi juda hua to KHabar hui Mera KHush-KHiram bala ka tez-KHiram tha Meri zindagi se chala gaya to KHabar hui Mere sare harf tamam harf azab the Mere kam-suKHan ne suKHan kiya to KHabar hui Koi baat ban ke bigaD gai to pata chala Mere bewafa ne karam kiya to KHabar hui Mere ham-safar ke safar ki samt hi aur thi Kahin rasta koi gum hua to KHabar hui Mere qissa-go ne kahan kahan se baDhai baat Mujhe dastan ka sira mila to KHabar hui Na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main Koi KHwab tha ki bikhar gaya to KHabar hui