saugaat
— Iftikhar Arif
Gul-daanon men saje hue phoolon ko main ne
Raat apnee aaghosh men le kar itnaa bheenchaa
Saare rang aur saaree khushboo ang ang
Men basee huee hai
Saaree Dunya na.ee huee hai
Par mujh ko in sab rangon aur khushbuon se Dar lagtaa hai
Jin kaa muqaddar tanhaa.ee ho
Yaa phir aisi rusvaa.ee ho jis kee aag men baras baras ke
Saje hue manzar jal jaa.en
Ghar jal jaa.en
Gul-danon mein saje hue phulon ko main ne
Raat apni aaghosh mein le kar itna bhincha
Sare rang aur sari KHushbu ang ang
Mein basi hui hai
Sari duniya nai hui hai
Par mujh ko in sab rangon aur KHushbuon se Dar lagta hai
Jin ka muqaddar tanhai ho
Ya phir aisi ruswai ho jis ki aag mein baras baras ke
Saje hue manzar jal jaen
Ghar jal jaen