shahr aashob
— Iftikhar Arif
Ai shahr-e-rasan-basta
Kyaa ye tiree manzil hai
Kyaa ye tiraa haasil hai
Ye kaun saa manzar hai
Kuchh bhee to nahin khultaa
Kyaa teraa muqaddar hai
Taqdeer-e-faseel-e-shahr katba hai ki gul-dasta
Ai shahr-e-rasan-basta
Ab koi bhee khawabon par eemaan nahin rakhtaa
Kis raah pe jaanaa hai kis raah nahin jaanaa pahchaan nahin rakhtaa
Shaa.er ho ki soorat-gar baaghon kee charaaghon kee bastee ke sajaane kaa saamaan nahin rakhtaa
Jis samt nazar kiije aankhon men dar aate hain aur Khoon rulaate hain
Yaadon se bhare daaman laashon se bharaa rasta
Ai shahr-e-rasan-basta
Muddat huee logon ko chup maar ga.ee jaise
Thukraa.ee huee khilqat jiine kee kashaakash men jee haar ga.ee jaise
Har saans khajil Thahree bekaar ga.ee jaise
Ab gham kee hikaayat ho yaa lutf kee baaten hon koi bhee nahin rotaa koi bhee nahin hanstaa
Ai shahr-e-rasan-basta
Ai shahr-e-rasan-basta
Kya ye teri manzil hai
Kya ye tera hasil hai
Ye kaun sa manzar hai
Kuchh bhi to nahin khulta
Kya tera muqaddar hai
Taqdir-e-fasil-e-shahr katba hai ki gul-dasta
Ai shahr-e-rasan-basta
Ab koi bhi KHwabon par iman nahin rakhta
Kis rah pe jaana hai kis rah nahin jaana pahchan nahin rakhta
Shaer ho ki surat-gar baghon ki charaghon ki basti ke sajaane ka saman nahin rakhta
Jis samt nazar kije aankhon mein dar aate hain aur KHun rulate hain
Yaadon se bhare daman lashon se bhara rasta
Ai shahr-e-rasan-basta
Muddat hui logon ko chup mar gai jaise
Thukrai hui KHilqat jine ki kashakash mein ji haar gai jaise
Har sans KHajil Thahri bekar gai jaise
Ab gham ki hikayat ho ya lutf ki baaten hon koi bhi nahin rota koi bhi nahin hansta
Ai shahr-e-rasan-basta