shahr e gul ke khas o khaashaak se khauf aataa hai
— Iftikhar Arif
Shahr-e-gul ke khas-o-khaashaak se khauf aataa hai
Jis kaa vaaris hoon usee khaak se khauf aataa hai
Shakl banne nahin paatee ki bigaD jaatee hai
Na.ee miTTee ko na.e chaak se khauf aataa hai
Vaqt ne aise ghumaa.e ufuq aafaaq ki bas
Mehvar-e-gardish-e-saffaak se khauf aataa hai
Yahee lahja thaa ki meyaar-e-sukhan Thahraa thaa
Ab isee lahja-e-be-baak se khauf aataa hai
Aag jab aag se miltee hai to lau detee hai
Khaak ko khaak kee poshaak se khauf aataa hai
Qaamat-e-jaan ko khush aayaa thaa kabhi khil.at-e-ishq
Ab isee jaama-e-sad-chaak se khauf aataa hai
Kabhee aflaak se naalon ke javaab aate the
In dinon aalam-e-aflaak se khauf aataa hai
Rahmat-e-sayyad-e-laulaak pe kaamil eemaan
Ummat-e-sayyad-e-laulaak se khauf aataa hai
Shahr-e-gul ke KHas-o-KHashak se KHauf aata hai
Jis ka waris hun usi KHak se KHauf aata hai
Shakl banne nahin pati ki bigaD jati hai
Nai miTTi ko nae chaak se KHauf aata hai
Waqt ne aise ghumae ufuq aafaq ki bas
Mehwar-e-gardish-e-saffak se KHauf aata hai
Yahi lahja tha ki meyar-e-suKHan Thahra tha
Ab isi lahja-e-be-bak se KHauf aata hai
Aag jab aag se milti hai to lau deti hai
KHak ko KHak ki poshak se KHauf aata hai
Qamat-e-jaan ko KHush aaya tha kabhi KHilat-e-ishq
Ab isi jama-e-sad-chaak se KHauf aata hai
Kabhi aflak se nalon ke jawab aate the
In dinon aalam-e-aflak se KHauf aata hai
Rahmat-e-sayyad-e-laulak pe kaamil iman
Ummat-e-sayyad-e-laulak se KHauf aata hai