shahr ilm ke darvaaze par kabhi kabhi dil ye sochtaa hai

Iftikhar Arif

Kabhee kabhee dil ye sochtaa hai Na jaane ham be-yaqeen logon ko naam-e-haidar se rabt kyuun hai Hakeem jaane vo kaisee hikmat se aashnaa thaa Shajee.a jaane ki badar o khaibar kee fat.h-mandee kaa raaz kya thaa Aliim jaane vo ilm ke kaun se safeenon kaa naa-khuda thaa Mujhe to bas sirf ye khabar hai Vo mere maulaa kee khushbuon men rachaa-basaa thaa Vo un ke daamaan-e-aatifat men palaa baDhaa thaa Aur us ke din raat mere aaqaa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the Vo raat ko dushmanon ke narghe men so raha thaa to un kee khaatir Jidaal men sar se paanv tak surkh ho raha thaa to un kee khaatir So us ko mahboob jaantaa hoon So us ko maqsood maantaa hoon Sa.aadaten us ke naam se hain Mohabbaten us ke naam se hain Mohabbaton ke sabhee gharaanon kee nisbaten us ke naam se hain Kabhi kabhi dil ye sochta hai Na jaane hum be-yaqin logon ko nam-e-haidar se rabt kyun hai Hakim jaane wo kaisi hikmat se aashna tha Shajia jaane ki badar o KHaibar ki fath-mandi ka raaz kya tha Alim jaane wo ilm ke kaun se safinon ka na-KHuda tha Mujhe to bas sirf ye KHabar hai Wo mere maula ki KHushbuon mein racha-basa tha Wo un ke daman-e-atifat mein pala baDha tha Aur us ke din raat mere aaqa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the Wo raat ko dushmanon ke narghe mein so raha tha to un ki KHatir Jidal mein sar se panw tak surKH ho raha tha to un ki KHatir So us ko mahbub jaanta hun So us ko maqsud manta hun Saadaten us ke nam se hain Mohabbaten us ke nam se hain Mohabbaton ke sabhi gharanon ki nisbaten us ke nam se hain