sukhan e haq ko faziilat nahin milne vaalii
— Iftikhar Arif
Sukhan-e-haq ko fazeelat nahin milne vaalee
Sabr par daad-e-shujaa.at nahin milne vaalee
Vaqt-e-maaloom kee dahshat se laraztaa huaa dil
Duubaa jaataa hai ki mohlat nahin milne vaalee
Zindagee nazr guzaaree to milee chaadar-e-khaak
Is se kam par to ye ne.amat nahin milne vaalee
Raas aane lagee Dunya to kahaa dil ne ki jaa
Ab tujhe dard kee daulat nahin milne vaalee
Havas-e-luqma-e-tar khaa ga.ee lahje kaa jalaal
Ab kisee harf ko hurmat nahin milne vaalee
Ghar se nikle hue beTon kaa muqaddar ma.aloom
Maan ke qadmon men bhee jannat nahin milne vaalee
Zindagee bhar kee kamaa.ee yahee misre do-chaar
Is kamaa.ee pe to izzat nahin milne vaalee
SuKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali
Sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali
Waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil
Duba jata hai ki mohlat nahin milne wali
Zindagi nazr guzari to mili chadar-e-KHak
Is se kam par to ye neamat nahin milne wali
Ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja
Ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali
Hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal
Ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali
Ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum
Man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali
Zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
Is kamai pe to izzat nahin milne wali