thakan to agle safar ke liye bahaana thaa
— Iftikhar Arif
Thakan to agle safar ke liye bahaana thaa
Use to yuun bhee kisee aur samt jaanaa thaa
Vahee charaagh bujhaa jis kee lau qayaamat thee
Usee pe zarb paDee jo shajar puraanaa thaa
Mataa-e-jaan kaa badal ek pal kee sarshaaree
Sulook khvaab kaa aankhon se taajiraana thaa
Havaa kee kaaT shagoofon ne jazb kar lee thee
Tabhee to lahja-e-khushboo bhee jaarihaana thaa
Vahee firaaq kee baaten vahee hikaayat-e-vasl
Na.ee kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Qabaa-e-zard nigaar-e-khizaan pe sajtee thee
Tabhee to chaal kaa andaaz khusravaana thaa
Thakan to agle safar ke liye bahana tha
Use to yun bhi kisi aur samt jaana tha
Wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi
Usi pe zarb paDi jo shajar purana tha
Mata-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari
Suluk KHwab ka aankhon se tajirana tha
Hawa ki kaT shagufon ne jazb kar li thi
Tabhi to lahja-e-KHushbu bhi jarihana tha
Wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
Nai kitab ka ek ek waraq purana tha
Qaba-e-zard nigar-e-KHizan pe sajti thi
Tabhi to chaal ka andaz KHusrawana tha