wafa ki khair manaataa hoon bevafaaii men bhi

— Iftikhar Arif

Wafa kee khair manaataa hoon bevafaa.ee men bhee Main us kee qaid men hoon qaid se rihaa.ee men bhee Lahoo kee aag men jal-bujh ga.e badan to khulaa Rasaa.ee men bhee khasaara hai naa-rasaa.ee men bhee Badalte rahte hain mausam guzartaa rahtaa hai vaqt Magar ye dil ki vaheen kaa vaheen judaa.ee men bhee Lihaaz-e-hurmat-e-paimaan na paas-e-ham-khvaabee Ajab tarah ke tasaadum the aashnaa.ee men bhee Main das baras se kisee khvaab ke azaab men hoon Vahee azaab dar aayaa hai is dahaa.ee men bhee Tasaadum-e-dil-o-Dunya men dil kee haar ke ba.ad Hijaab aane lagaa hai ghazal-saraa.ee men bhee Main jaa raha hoon ab us kee taraf usee kee taraf Jo mere saath thaa meree shikasta-paa.ee men bhee Wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi Main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi Lahu ki aag mein jal-bujh gae badan to khula Rasai mein bhi KHasara hai na-rasai mein bhi Badalte rahte hain mausam guzarta rehta hai waqt Magar ye dil ki wahin ka wahin judai mein bhi Lihaz-e-hurmat-e-paiman na pas-e-ham-KHwabi Ajab tarah ke tasadum the aashnai mein bhi Main das baras se kisi KHwab ke azab mein hun Wahi azab dar aaya hai is dahai mein bhi Tasadum-e-dil-o-duniya mein dil ki haar ke baad Hijab aane laga hai ghazal-sarai mein bhi Main ja raha hun ab us ki taraf usi ki taraf Jo mere sath tha meri shikasta-pai mein bhi