ye ab khulaa ki koi bhi manzar miraa na thaa
— Iftikhar Arif
Ye ab khulaa ki koi bhee manzar miraa na thaa
Main jis men rah raha thaa vahee ghar miraa na thaa
Main jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa
MiTTee bataa rahi hai wo paikar miraa na thaa
Mauj-e-havaa-e-shahr-e-muqaddar javaab de
Dariyaa mire na the ki samundar miraa na thaa
Phir bhee to sangsaar kiyaa jaa raha hoon main
Kahte hain naam tak sar-e-mahzar miraa na thaa
Sab log apne apne qabeelon ke saath the
Ik main hee thaa ki koi bhee lashkar miraa na thaa
Ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha
Main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha
Main jis ko ek umr sambhaale phira kiya
MiTTi bata rahi hai wo paikar mera na tha
Mauj-e-hawa-e-shahr-e-muqaddar jawab de
Dariya mere na the ki samundar mera na tha
Phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
Kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha
Sab log apne apne qabilon ke sath the
Ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha