ye bastii jaanii pahchaanii bahut hai

Iftikhar Arif

Ye bastee jaanee-pahchaanee bahut hai Yahaan va.adon kee arzaanee bahut hai Shagufta lafz likkhe jaa rahe hain Magar lahjon men veeraanee bahut hai Subuk-zarfon ke qaaboo men nahin lafz Magar shauq-e-gul-afshaanee bahut hai Hai baazaaron men paanee sar se oonchaa Mire ghar men bhee tughyaanee bahut hai Na jaane kab mire sahraa men aa.e Vo ik Dariya ki toofaanee bahut hai Na jaane kab mire aangan men barse Vo ik baadal ki nuqsaanee bahut hai Ye basti jaani-pahchani bahut hai Yahan wadon ki arzani bahut hai Shagufta lafz likkhe ja rahe hain Magar lahjon mein virani bahut hai Subuk-zarfon ke qabu mein nahin lafz Magar shauq-e-gul-afshani bahut hai Hai bazaron mein pani sar se uncha Mere ghar mein bhi tughyani bahut hai Na jaane kab mere sahra mein aae Wo ek dariya ki tufani bahut hai Na jaane kab mere aangan mein barse Wo ek baadal ki nuqsani bahut hai