ye bastiyaan hain ki maqtal duaa kiye jaaen
— Iftikhar Arif
Ye bastiyaan hain ki maqtal duaa kiye jaa.en
Duaa ke din hain musalsal duaa kiye jaa.en
Koee fughaan koi naala koi bukaa koi bain
Khulegaa baab-e-muqaffal duaa kiye jaa.en
Ye iztiraab ye lambaa safar ye tanhaa.ee
Ye raat aur ye jangal duaa kiye jaa.en
Bahaal ho ke rahegee fazaa-e-khitta-e-khair
Ye habs hogaa mo.attal duaa kiye jaa.en
Guzishtagaan-e-mohabbat ke khvaab kee saugand
Vo khvaab hogaa mukammal duaa kiye jaa.en
Havaa.e sarkash o saffaak ke muqaabil bhee
Ye dil bujhenge na mish.al duaa kiye jaa.en
Ghubaar uDaatee jhulastee huee zameenon par
UmanD ke aa.enge baadal duaa kiye jaa.en
Qubool honaa muqaddar hai harf-e-khaalis kaa
Har ek aan har ik pal duaa kiye jaa.en
Ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen
Dua ke din hain musalsal dua kiye jaen
Koi fughan koi nala koi buka koi bain
Khulega bab-e-muqaffal dua kiye jaen
Ye iztirab ye lamba safar ye tanhai
Ye raat aur ye jangal dua kiye jaen
Bahaal ho ke rahegi faza-e-KHitta-e-KHair
Ye habs hoga moattal dua kiye jaen
Guzishtagan-e-mohabbat ke KHwab ki saugand
Wo KHwab hoga mukammal dua kiye jaen
Hawae sarkash o saffak ke muqabil bhi
Ye dil bujhenge na mishal dua kiye jaen
Ghubar uDati jhulasti hui zaminon par
UmanD ke aaenge baadal dua kiye jaen
Qubul hona muqaddar hai harf-e-KHalis ka
Har ek aan har ek pal dua kiye jaen