ye moajiza bhi kisi ki duaa kaa lagtaa hai

Iftikhar Arif

Ye mo.ajiza bhee kisee kee duaa kaa lagtaa hai Ye shahr ab bhee usee bevafaa kaa lagtaa hai Ye tere mere charaaghon kee zid jahaan se chalee Vaheen kaheen se ilaaqa havaa kaa lagtaa hai Dil un ke saath magar tegh aur shakhs ke saath Ye silsila bhee Kuch ahl-e-riyaa kaa lagtaa hai Na.ee girah na.e naakhun na.e mizaaj ke qarz Magar ye pech bahut ibtidaa kaa lagtaa hai Kahaan main aur kahaan faizaan-e-naghma-o-aahang Karishma sab dar-o-bast-e-navaa kaa lagtaa hai Ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai Ye shahr ab bhi usi bewafa ka lagta hai Ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali Wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai Dil un ke sath magar tegh aur shaKHs ke sath Ye silsila bhi Kuch ahl-e-riya ka lagta hai Nai girah nae naKHun nae mizaj ke qarz Magar ye pech bahut ibtida ka lagta hai Kahan main aur kahan faizan-e-naghma-o-ahang Karishma sab dar-o-bast-e-nawa ka lagta hai