badal gaii hai fazaa niile aasmaanon ki

Irfan Siddiqi

Badal ga.ee hai fazaa niile aasmaanon kee Bahut dinon men khuleen khiDkiyaan makaanon kee Bas ek baar jo langar uThe to phir kya thaa Havaa.en taak men thiin jaise baadbaanon kee Koee pahaaD rukaa hai kabhee zameen ke baghair Har ek bojh panah chaahtaa hai shaanon kee To ghaaliban wo hadaf hee hadon se baahar thaa Ye kaise Toot ga.iin Doriyaan kamaanon kee Jo hai wo kal ke savaalon ke intizaar men hai Ye zindagee hai ki hai raat imtihaanon kee