badan men jaise lahuu taaziyaana ho gaya hai
— Irfan Siddiqi
Badan men jaise lahoo taaziyaana ho gaya hai
Use gale se lagaa.e zamaana ho gaya hai
Chamak raha hai ufuq tak ghubaar-e-teera-shbee
Koi charaagh safar par ravaana ho gaya hai
Hamen to khair bikharnaa hee thaa kabhi na kabhi
Havaa-e-taaza kaa jhonkaa bahaana ho gaya hai
Gharaz ki poochhte kya ho ma.aal-e-sokhtagaan
Tamaam jalnaa jalaanaa fasaana ho gaya hai
Fazaa-e-shauq men us kee bisaat hee kya thee
Parind apne paron kaa nishaana ho gaya hai
Kisee ne dekhe hain patjhaD men phuul khilte hue
Dil apnee khush-nazaree men divaana ho gaya hai